Sunday, December 20, 2009

Bechare engineer

Kal rat “ Radio “ movie dekhi , dhekhne ke baad sochta rha ki kya life ha ek radio jockey ki . chalo bollywood walo ne unki life ko duniya ke saamne to rkha wo chahe jiski life duniyo ko dikha sakte hai unke mann ki baat duniya ko samja sakte hai . kuch month pahle ek movie aayi thi “Hello ” usme bollywood walo ne call center ke bare me bataya tha kesi life hoti hai unki yaar mai puch ta hu IT field ka kya . hum engineer ki to kisi ko Fiker hi nahi. IT field me engineer ki to bauht buri halat hai hum bechro ke bare mai koi movie banane ki sochta bhi nai . ab dekho na IITen par movie bana dali. Student love story par to kitni sari love story aagayi lekin IT field ka to kahi dur dur tak naam nahi. or jha tak mujhe pata hai bollywood mai IT field ke upper koi movie nai bani ..

Upper se share market ki halat to esi hai jese “ kangali me attah gila ” . IT field ki durdasa to dekh ne laayak ahi . collage se engineer banke to nikal gaye lekin job ka koi pata nahi or upper se ghar par aas pados ke log relation walee or aake bolte hai aap ke ladke ne to engineering kari hai na ab kya kar rha hai humare unka ladka to aachi job par hai monthly 20000 milte hai …..

Are bollywood walo hum par bhi ek movie banado humari mann ki baat duniya ko dikha do ki hum kitni mahnat kar te hai lekin hum to share market par depend hai wo upper to hum bhi upper wo neeche to hum bhi neeche………..


Bechare Engineer………………….